Original scale: F#mCurrent scale: F#m
Chord View

Jab sāth hai Masīhā

Kyoṅ tū ḍartā hai tere liye vo laṛtā hai 
Na rath na ghoṛe, vijay1 dilāeṅge
Jab sāth hai Masīhā
Jīt ham jāeṅge
Ham fat’h pāeṅge

Uske logoṅ ko jo bhī koī lalkārtā hai
Bachche se phir vohī
Balvān2 ko mārtā hai
Dāūd jaise goliyat ham harāeṅge
Jab sāth hai Masīhā...

Ham leke chaleṅge apne sāth
Hathiyār rūhānī
Shaitān bhī hāregā ham se
Dushman jo jāne
Yīshu nām meṅ ham to baṛhte jāeṅge
Jab sāth hai Masīhā...

Paiġām mahabbat kā ghar ghar pahuṅchāeṅge
Nafrat ko bhī ham pyār se jīt dikhāeṅge
Yīshu ānevālā sabko batāeṅge
Jab sāth hai Masīhā...
  1. Vijay: victory ↩︎
  2. Balvān: strengthened, strong, powerful ↩︎