Original scale: FCurrent scale: F
Chord View

Merī rūh Ḳhudā kī pyāsī

Merī rūh Ḳhudā kī pyāsī hai merī rūh 
Jaise hirnī1 pānī ke nāloṅ ko tarastī hai
Merī rūh…

Rāt aur din āṅsū bèhte haiṅ
Dunyā vāle sab kèhte haiṅ
Hai kaun kahāṅ hai terā Ḳhudā
Kyoṅ hai itnā bechain ye dil
Kyoṅ jān ye girtī jātī hai
Hogā kis din dīdār terā
Kab hogā milnā rūbarū merī rūh

Yardan kī zamīn se gāūṅgā
Koh-e-misġār se gāūṅgā
Gèhrāo2 se gèhrāo tak
Rāt aur din hogā terā karam
Maiṅ gīt du'ā ke gāūṅgā
Vo mujh pe kare apnī rèhmat
Hai merī bas ye ārzū3 merī rūh

Dushman kī malāmat4 tīr sī hai
Kyoṅ uske zulm5 kā sog6 karūṅ
Chaṭṭān hai merī merā Ḳhudā
Vo mujh se har dam kèhte haiṅ
Hai kaun kahāṅ hai terā Ḳhudā
Hogā kis din dīdār terā
Mere ṭūṭe dil kī ās hai tū merī rūh



  1. Hirnī (Hariṇī): doe, deer (female deer) ↩︎
  2. Gahrāv: depth, the deep ↩︎
  3. Ārzū: wish, desire, want ↩︎
  4. Malāmat: reproof, blame, accusation, disgrace ↩︎
  5. Zulm: cruelty, tyranny, oppression ↩︎
  6. Sog: sorrow, grief, mourn (mourning) ↩︎