Ai Ḳhudā Pāk Rūh

Ai Ḳhudā Pāk Rūh, āj jumbish tū kar 
Chhū le har zindagī
Ḳhālī dāman bhī bhar

Andhī āṅkheṅ khuleṅ, murda dil bhī jilā
Tū hai qādir Ḳhudā, apnī qudrat dikhā
Āj tujh par lage, har bashar kī nazar

Pānī pānī pe thī, jaise jumbish terī
Aṅbiyā par bhī thī, Rūh kī bārish terī
Vohī bārish tū kar, vohī jumbish tū kar

Māntā hūṅ sabhī, apnī kamzoriyāṅ
Baḳhsh de ai Ḳhudā, apnī shèhzoriyāṅ
Merī āhoṅ ko de, āj apnā asar