Ik tārā chamkā hai

Ik tārā chamkā hai 
Ik nūr sā utarā hai
Har galī galī raushan, pur-nūr nazāra hai

Phūl haṅse kaliyāṅ muskāīṅ
Tāroṅ kī bārāteṅ āīṅ

Āṅgan āṅgan sabz saverā
Dūr huā hai dil kā andherā

Pyār kī ḳhushbū phail rahī hai
Us kī āmad kaisī bhalī hai