Original scale: EmCurrent scale: Em
Chord View

Hāzir

V1: Sāre jahān kā bādshāh
Hai mujh meṅ ākar bas gayā
Shān aur shaukat se tū bharā
Ḳhud jaisā mujhko hai kiyā

C: Hai hāzir, hai hāzir
Merī kahānī meṅ tū hai hāzir

V2: Mere hisse meṅ thī sazā
Tū ne le lī merī jagah
Yīshu aisī terī wafā
Ki tū ne sab kuchh sèh liyā
C: Hai hāzir, hai hāzir...

B: Sāre hālātōṅ1 meṅ, sāre lamhātōṅ meṅ
Sāre jazbātōṅ meṅ tū hāzir hai
Sheroṅ kī māṅd meṅ yā
Bhaṛaktī āg meṅ bhī
Har imtehān meṅ tū hāzir hai
C: Hai hāzir, hai hāzir...

O: Maiṅ hāzir, maiṅ hāzir
Terī kahānī meṅ maiṅ hūṅ hāzir
Hai hāzir, hai hāzir
Terī kahānī meṅ hūṅ maiṅ hāzir
  1. Grammatical Correction: Sārī* hālatōṅ* meṅ, sāre lamhōṅ* meṅ, sāre jazbōṅ* meṅ.
    Note: Hālāt, lamhāt, and jazbāt are already plural words, with the Arabic plural ending -āt. Normally, Urdu/Hindi plurals take the oblique ending -ōṅ before postpositions like meṅ, se, ko, and ne (e.g., lamha → lamhoṅ meṅ). However, these Arabic-derived plurals generally remain unchanged in the oblique case. ↩︎

V= Verse, C= Chorus, PC= Pre-Chorus, B= Bridge, O= Outro