Original scale: F#Current scale: F#
Chord View

Maiṅ charāġ hūṅ

Maiṅ charāġ hūṅ Yesū' nām kā
Jaltā hūṅ us kī shān meṅ
Mujhe kyā bujhāeṅgī āṅdhiyāṅ
Mujhe kyā bujhāeṅgī āṅdhiyāṅ
Maiṅ hūṅ Pāk Rūh kī amān1 meṅ

Maiṅ bharā hūṅ us ke kalām se
Aur zindagī ke paiġām se
Hai īmān kī āg lagī huī
Merī rūh meṅ merī jān meṅ
Mujhe kyā bujhāeṅgī āṅdhiyāṅ…

Maiṅ nūr kā farzand2 hūṅ
Rūh-e-Ḳhudā kī pasand hūṅ
Merī raushanī ne janm liyā
Ik rāstī3 ke makān meṅ
Mujhe kyā bujhāeṅgī āṅdhiyāṅ…
  1. Amān: protection, refuge ↩︎
  2. Farzand: child/children, son, offspring, generation ↩︎
  3. Rāstī: righteousness ↩︎